May 11, 2014

       ye Masjid-e-koofa hy jahan sy toofan-e-nooh shoro howa tha.ye toofan Allah ki taraf sy un nafarman log par tha jo Allah sy ghafil thy.Allah ny chaha k in logo ke pass rasol bhej jaye,taa ke in ko smjaye or in ko buri bhale bato sy agha kary. ye to ho ni sakta tha k Allah khod logon sy bat kary. ye na mumkin hy k Allah har ak ke pass jaye or kahey k ye kam bura hy.is ko chor do.ye kam acha hy is ko karo.
          jab badsha har ak ke pass ni jata k ye kam yun karo.ye youn karo.Halan ke badsha in ke tara he hota hy.wo bat be kar sakta hy or log us ko dekh be sakty hy.or us ki bat ko sun be sakty hy.
Jab dunyawe badsha ka ye hal hy to pher dono jahano ke Rab,sary Alam k Shehnsha par kab zeab deta hy k logo ko smjata phery or buri bhali bato sy agha karta phery.han jab Allah kisi sy bat karna chahta hy to us ko apny kalam ke liye makhsos kar leta hy.Allah ny chaha ke jo Rasol in ki taraf bheja jaye wo in he ka koi ham jins ho.taa ke log is ko pehchan saky.is ki baton ko samaj saky.is sy nasehat hasil kar saky.
 
Agar Rasol farishta ki sorat may zaher hota to log is sy ghabraty.or wo nasehat karty waqt apna amal pesh karta to ye kehty k hamra tumhara kia muqabila .ham admi hy or tum farishta ho.bhala koi munsibat hy .hamri lakho zaroraty hy.hamry dil my sadah khwahishy hain.ham in ko pura kary ya Allah ki ibadat kary.
        
       Magar jab Rasol insan hoga to keh sakta hy k dekho may be to tumhari tara  insan hon.khata be hon peeta be hon,bivi bachy be hy.lekan Allah ki yad sy ghafil ni ho.in tamam dunyawe taloqat k bawajod Allah ki Ibadat karta hon.tum ko kon rokta hy ,kis chez ny ko Allah ki yaad sy or is ki ibadat sy ghafil rakha hy to in k pass is ka koi jawab na hoga.lajawab hon gy koi uzar pesh na kar sakengy.

1 comment:

Anonymous said...

nice information for muslim