Oct 22, 2014

Hazrat Nooh [A.S] ki kasti daryaft kar lee gaye.

       China or Turkey ki ak tehqeqati teem ne dawa kiya hy ke wo Hazrat Nooh A.S ke kashti daryaft karny main kamyab ho gayen  hain.in ka dawa hy k inho ny ye tarekhi kashti Turkey main "Iraaraat" ke paharion par daryaft ke hy. tehqeqati teem ka kehna hy k in ko 100% to nahe albata 99.9% yaqeen hy k ye Hazart Nooh A.S ke he kashti hy .tehqeqati teem ke mutabik ye kashti satah samandar sy 13000 feet ke bulandi par daryaft ki gaye hy. or is ki lakri [2,800 BC] qabal maseeh qadeem hy .teem ne is waqt tak kashti k maqam kee wazeha neshandahe karny sy inkar kar diya hy jab taak is maqam ko asar-e-qadema kee hesiyat nahe dee jati. Maghrbe mahern asar-e-qadema ka kehna hy k is dawy ko drost manny k liye mazeed tehqeq karni ho gee.














LONDON  K MUTABIQ.

     Aam tor par smja jata hy k Hazrat Nooh A.S kee kashti aam behri jahaz k asolo par tamer kee gaye the magar ak new tehqeq main dawa karty howe kaha gaya hy k dar haqeqat wo bilkol gol the or is sirkondo kee madad sy tayar kiya gaya tha ,Doctor  Earuong  fenkal naami maher ne apni tehqeq main kaha hy k Hazrat Nooh A.S kee kashti  k hawaly sy tarekhe kahaneo main zayda sachaye nahe hy.
       ak qadeem Iraqi tehrer k zariye Fenkal ne Hazrat Nooh A.S kee kashti k bary main gumshoda tokry dhondny ki koshesh kee,in k tarjuma karda iskrept k baaqool Hazrat Nooh A.S kee  kashti Allah k hukam sy sirkando sy tameer kee  gaye or isy bilkol design main tayar kiya gaya jiss kee lambaye or choraye yaksan the.tehrer k mutabik kashti 2 manzila the or uper ak chat be the or har janwar kee nasal k liye aleda hessa tameer kiya gaya tha...
 
Add caption